Sabhi Free Tools

Naam se Rashi Jaanein

Naam ke pehle akshar se rashi, nakshatra aur pada — Hindi ya English, dono mein. Bilkul free.

Har nakshatra ke 4 charan (pada) hote hain aur har charan ka ek akshar. 27 nakshatra x 4 = 108 akshar, 12 rashiyon mein 9-9 baante gaye hain. Naam ka pehla akshar jis charan ka hai, wahi aapki naam rashi hai.

Yeh janam rashi nahi hai. Janam (Chandra) rashi ke liye janm tithi, samay aur sthan se rashi nikaalein.

Rashi anusaar naam akshar

12 rashiyon ke naam akshar
RashiAkshar
Meshमेषचू चे चो ला ली लू ले लो अChu Che Cho La Li Lu Le Lo A
Vrishabhवृषभई ऊ ए ओ वा वी वू वे वोI U E O Va Vi Vu Ve Vo
Mithunमिथुनका की कू घ ङ छ के को हाKa Ki Ku Gha Ng Chha Ke Ko Ha
Karkकर्कही हू हे हो डा डी डू डे डोHi Hu He Ho Da Di Du De Do (ड)
Simhaसिंहमा मी मू मे मो टा टी टू टेMa Mi Mu Me Mo Ta Ti Tu Te (ट)
Kanyaकन्याटो पा पी पू ष ण ठ पे पोTo (ट) Pa Pi Pu Sha (ष) Na (ण) Tha (ठ) Pe Po
Tulaतुलारा री रू रे रो ता ती तू तेRa Ri Ru Re Ro Ta Ti Tu Te (त)
Vrishchikवृश्चिकतो ना नी नू ने नो या यी यूTo (त) Na Ni Nu Ne No Ya Yi Yu
Dhanuधनुये यो भा भी भू धा फा ढा भेYe Yo Bha Bhi Bhu Dha Pha Dha (ढ) Bhe
Makarमकरभो जा जी खी खू खे खो गा गी (+ जू जे जो खा)Bho Ja Ji Khi Khu Khe Kho Ga Gi (+ Ju Je Jo Kha)
Kumbhकुंभगू गे गो सा सी सू से सो दाGu Ge Go Sa Si Su Se So Da (द)
Meenमीनदी दू थ झ ञ दे दो चा चीDi Du Tha (थ) Jha Na (ञ) De Do Cha Chi

Talika: nakshatra-charan akshar (Avakahada chakra), Uttar Bharatiya parampara. ब ko व aur श ko स maana jaata hai. जू जे जो खा (Abhijit) Makar mein.

Aksar poochhe jaane wale sawaal

Naam rashi aur janam rashi mein kya antar hai?

Janam rashi (Chandra rashi) janm ke samay Chandrama jis rashi mein tha, woh hai — iske liye janm tithi, samay aur sthan chahiye. Naam rashi naam ke pehle akshar se nikalti hai, nakshatra-charan akshar talika se. Agar naam janm nakshatra ke akshar par rakha gaya ho to dono same hoti hain, warna alag.

Rashifal kis rashi se padhein?

Jyotish mein rashifal janam (Chandra) rashi se padha jaata hai. Janm vivaran na ho to bahut log naam rashi se padhte hain — yeh bhi chalta hai, par sateek nahi.

English spelling mein T ya D se shuru naam ki rashi kaise pata karein?

English mein "T" se त aur ट dono likhe jaate hain, aur "D" se द aur ड. Inki rashi alag hai (jaise ता = Tula, टा = Simha). Isliye tool dono vikalp dikhata hai — jo akshar aapke naam ka hai, woh chuniye. Hindi mein naam likhenge to seedha sahi akshar milega.

Sh (श) se shuru naam ki rashi kya hai?

Talika mein ष (Kanya) hai, श nahi. Prachalit parampara mein श ko स jaisa maana jaata hai, isliye Shubham, Shweta jaise naam Kumbh rashi mein aate hain. Kuch panchang "Sha" ko Kanya maante hain — tool yeh vikalp bhi dikhata hai.

Aur free tools

Pandit ji se baat karein

Naam, rashi ya naamkaran ke baare mein apne sawaal pandit ji se poochhein.

Pandit ji se baat karein